Thursday, April 26, 2018

Dekho Diwali aayi hai

Nanhe haatho se gubbare bech te hue,
Har Raahgeer se darkhaast karte hue,
Chand rupaye kamane ki ladaayi hai,
Dekho fir se Diwali aayi hai.

Sapne hain par zimmedari badi hai,
Ek kone me choti behen taktaki lagaye khadi hai,
Use pet bhar khana khilane ki ladaayi hai,
Dekho fir se Diwali aayi hai

Ek pal ruk kar jalte fataake dekh kar,
Aankho ki chamak aur chehre ki hasi bator kar,
Fir se daud pada thoda sa bachpan nichod kar,
Kuch sikke ghar le jane ki ladaayi hai,
Dekho fir se Diwali aayi hai

No comments:

Post a Comment